titlian,khawb aur phool

hum koi dunyia say niralay tu nahin hain

hum bhi us waqat main jeetay thy jahan

tatlian,khawb aur phool

sheher hum ko bhi muqadar main mila hay jis main

dharkanain gum hain aur shor say hoo ka alam

hum bhi us gher kay makeen hain  k jahan

waqat katay bhuj jati hay is umer ki lo

ik bay mesruf o gumnam iraday ki tara

hum bhi logo ki tara hain k humain

dukh chupana bhi hay,hansana saray bazar bhi hay

hum pay bhi ehd_e_jawani ka azab utra hay

hum nay bhi door kisee sheher main hanstay hoay

ik shakas ko chaha hay bohat

un hawaon ko sada jana hay

jaisay us sheher say paygam_e_wafa lati hain

dharkanain ankh ka anso tu nahin hain lakin

hum nay gin gin kay gawae hain kisee shakas kay naam

hum niralay hee tu hain

hum nay is gum ko gum_e_jana sa bana rakha hay

umer jis main na koi aas,na anso,na hansi

hum nay is umer ka afsana bana rakha hay

7 Responses to “titlian,khawb aur phool”

  1. Nice! :)…specially…

    “umer jis main na koi aas, na anso, na hansi

    hum nay is umer ka afsana bana rakha hay”

  2. Waah waah … throughly enjoyed this part:


    hum bhi logo ki tarah hain k humain
    dukh chupana bhi hay,hansana sare-bazar bhi hay
    hum pay bhi ehd_e_jawani ka azab utra hay
    hum nay bhi dur kisee sheher main hanstay hoay
    ik shakas ko chaha hay bohat

    :)

  3. Subhan- Allah, wah wah !! :)

    *hum bhi logo ki tara hain k humain

    dukh chupana bhi hay,hansana saray bazar bhi hay*

    Whose the poet?

  4. was jst passing by thought to leave ma marks…

    nice poem
    whose is it ?

  5. Nice poem!!!
    is it yours?

  6. Thanks everyone and this lovely piece of poetry is written by columnist Orya Mabool Jaan.

  7. Lovely piece of poetry….
    sometimes i really wonder… why does these sad feelings keep coming back to us and haunt us.

    wish i can simply close my eyes and time will ease these feelings up for me…

    anyways…. i think i found the very best of the poetic expression in quite a while..

Leave a Reply